Paroles chansons de Umrao Jaaan

Publié le par Saraswati

UMRAO JAAN

Poochh Rahe Hai

Singer(s): ALKA YAGNIK

aaraju thi hame itanaa zahek se maut mil jaaye
saari duniyaa mein kisise to muhobbat mil jaaye
jiteji paayaa naa kuch hamane jamaanewaalo
ab janaaje ko to rukhsat ki izaazat mil jaaye

poochh rahe hai poochhanewaale - 2
lekin hum bataalaaye kyaa - 2
daag ye dil ne paaye hai kaise - 2
unako hum samajaaye kyaa - 2
poochh rahe hai poochhanewaale

(kitane daag hai is daaman mein
kitane daag hai maathe par) - 2
jo humako apanaa sakate the
sach hai hume apanaaye kyaa
daag ye dil ne paaye hai kaise
unako hum samajaaye kyaa
poochh rahe hai poochhanewaale

jo apano ki basati thi ab nagari hai begaano ki - 2
kon yahaa hai sunanewaala
dil ki baat sunaaye kyaa
daag ye dil ne paaye hai kaise
unako hum samajaaye kyaa
poochh rahe hai poochhanewaale

patthar ab kyaa fek rahe ho hum pehalese hi jakhmi hai - 2
dil par kitane jakhma lage hai chhodo tumhe ginawaaye kyaa
daag ye dil ne paaye hai kaise
unako hum samajaaye kyaa
poochh rahe hai poochhanewaale

Behka Diya Hamein

Singer(s): ALKA YAGNIK, SONU NIGAM

dekhaa hame kuch aise ki behkaa diyaa hamein
tumane to khwaab dekhanaa sikhalaa diyaa hamein
us jindagi se kaise sitam ko gilaa kare
jis jindagi ne aapase milawaa diyaa hamein
dekhaa hame kuch aise ki behkaa diyaa hamein

ankhon mein hai nashile bhavar zulf mein lehar - 2
daryaa ye kaisaa husna kaa dikhalaa diyaaa hamein
aramaano kaa jahaan mubobbat ki daasataa - 2
hum kyaa kahe ki apane kyaa kyaa diyaa hamein
dekhaa hame kuch aise ki behkaa diyaa hamein

manjar tammam rang mein dube hue se hai - 2
tumane ye kis makaam pe pohanchaa diyaa hamein
ye aap hai ki aayaa hai mausam bahaar kaa - 2
shadaab kar diyaa hamein mehakaa diyaa hamein
dekhaa hame kuch aise ki behkaa diyaa hamein
tumane to khwaab dekhanaa sikhalaa diyaa hamein
us jindagi se kaise sitam ko gilaa kare
jis jindagi ne aapase milawaa diyaa hamein
dekhaa hame kuch aise ki behkaa diyaa hamein

Pehle Pehel

Singer(s): ALKA YAGNIK

tum jo paas aa gaye hum jo sharamaa gaye
raaj dil paa gaye
tum bhi pehle pehel hum bhi pehle pehel - 2

jab nigaahe mili dil mein kaliyaa khili
jaisaa leharaa gaye
tum bhi pehle pehel hum bhi pehle pehel - 2

(wasl ki raat mein haath hai haath mein
baat hi baat mein baat pohanchi kahaa) - 2
ek mulaakaat mein dekhaa ye khwaab to
dil hai betaab to dono ghabaraa gaye
tum bhi pehle pehel hum bhi pehle pehel - 2

(ishq janjeer hai ishq ek teer hai
ishq takdeer hai ishq ek khwaab hai) - 2
ishq taabir hai jisakaa dil naam hai
woh to ek jaam hai jaam chalakaa gaye
tum bhi pehle pehel hum bhi pehle pehel - 2

tum jo paas aa gaye hum jo sharamaa gaye
raaj dil paa gaye
tum bhi pehle pehel hum bhi pehle pehel - 2

Main Na Mil Sakun Jo Tumse

Singer(s): ALKA YAGNIK

waadaa karake nibhaanewaale kam hote hai
ishq naa karanna ishq mein gum hi gum hote hai

(main naa mil saku jo tumase meri justaju naa karanaa - 2
tumhe merihi kasam hai - 2
meri aaraju naa karanaa - 2) - 2

mujhase hai muhobbat use hai ajabaye aadat - 2
kadhi munh ko fer lenaa meri guftagu naa karanaa
tumhe merihi kasam hai meri aaraju naa karanaa
main naa mil saku jo tumase meri justaju naa karanaa - 2

maine chaahaa thaa kisiko meraa haal kyaa hai dekho - 2
jo kiyaa kusur maine wohi tum ko bhulaa naa karanaa
tumhe merihi kasam hai meri aaraju naa karanaa
main naa mil saku jo tumase meri justaju naa karanaa - 2

meri ho agar buraayi to naa denaa tum safaai - 2
mere saath khudako rusavaa kadhi kubaku na karanaa
tumhe merihi kasam hai meri aaraju naa karanaa
main naa mil saku jo tumase meri justaju naa karanaa - 2

koi puchhe badnaseebi ki hai inhaabhi koi - 2
to meri misaal denaa tum mujhe naa munh naa karanaa
tumhe merihi kasam hai meri aaraju naa karanaa
main naa mil saku jo tumase meri justaju naa karanaa - 2

Jhute Ilzaam

Singer(s): ALKA YAGNIK

kaun kisako yahaa bhalaa samajaa
humane kyaa samajaa tumane kyaa samajaa
bewafaa humane tumako samajaa sanam
tumane humakohi bewafaa samajaa

(jhute ilzaam meri jaan lagaayaa naa karo - 2
dil hai naajuk ise tum aise dukhaayaa naa karo
jhute ilzaam meri jaan lagaayaa naa karo) - 2

meri aankhon mein jo achhe nahi lagate aansu - 2
to jalaayaa naa karo mujhako sataayaa naa karo - 2
dil hai naajuk ise tum aise dukhaayaa naa karo
jhute ilzaam meri jaan lagaayaa naa karo

tum kisi aur ki kismat mein ho tum mere nahi - 2
ye agar sach bhi hai to mujhako bataayaa naa karo - 2
dil hai naajuk ise tum aise dukhaayaa naa karo
jhute ilzaam meri jaan lagaayaa naa karo

yaa to taawir bataayo mere sab khwaabo ki - 2
yaa koi khwaab in aankhon ko dikhaayaa naa karo - 2
dil hai naajuk ise tum aise dukhaayaa naa karo
jhute ilzaam meri jaan lagaayaa naa karo

abhi aaye ho abhi baithe abhi jaate ho - 2
sirf ek rasm nibhaane ko to aayaa naa karo - 2
dil hai naajuk ise tum aise dukhaayaa naa karo
jhute ilzaam meri jaan lagaayaa naa karo

Agle Janam Mohe Bitiyaa
Singer(s): ANMOL MALIK

(jo ab kiye ho daataa aisaa naa ki jo - 2
agale janam mohe bitiyaa naa ki jo ) - 2
jo ab kiye ho daataa aisaa naa ki jo

kaisaa naseebaa jagmein har bitiyaa paaye
apanaa jinhe samajhat hai par woh paraaye
baabul kaa anaganaa chhute, maiyaa kaa acharaa
bholi chirayaa paaye bas ek pinjaraa
phir bhi ye sab samajaave tadapaa naa ki jo
agale janam mohe bitiyaa naa ki jo
jo ab kiye ho daataa aisaa naa ki jo
bitiyaa naa ki jo

Salaam
Singer(s): Alka Yagnik

laakh is dil ko humane samajaayaa
dil yahaa phir bhi humako le aayaa
salaam salaam
tumhaari mehfil main aa gaye hai
to kyun naa hum ye bhi kaam karale
salaam karane ki aarajoo hai - 2
idhar jo dekho salaam karale) - 2

(ye dil hai jo aa gayaa hai tum par
wagar naa sach hai ye bandaa parwar) - 2
jise bhi hum dekhale palat kar - 2
usiko apanaa gulaam karale
salaam karane ki aarajoo hai
idhar jo dekho salaam karale

bahot si baate hai tumako kehani
bahot si baate hai humako kehani - 2
kabhi jo tanahaa milo kahi tum - 2
to baate hum ye tamaam kar le
salaam karane ki aarajoo hai - 2
idhar jo dekho salaam karale

wo lailaa majanu ki ho muhobbat
ke shirifarhad ki ho ulfat - 2
jaraasi tum jo dikhao jurrat - 2
to hum bhi un jaisaa naam karale

tumhaari mehfil main aa gaye hai
to kyun naa hum ye bhi kaam karale
salaam karane ki aarajoo hai
idhar jo dekho salaam karale

Pour être informé des derniers articles, inscrivez vous :
Commenter cet article
V
I really love what you do wonder how did I miss your blog
Répondre
A

slt je suis anantita (thailandaise),je souhaiterai voir ce film en streaming (français) pouvez-vous me renseigner?

Répondre
M
salam a toi saraswati moi c yash(MOHAMED lol) je sui intérressé depuis tt peti par ce monde aussi proche du paradis , c'est un bonheur de voir tt ces film et j'ai ds l'espoir de vister ce pays inchallah pr y apprendre tte son histoire et sa culture , ton site ma fai avancé et je serai tres conten de faire ta connaissance. nous avons une passion commune pourkoi ne pa la partager, tu as mon adresse MSN. JE TATEN AVEC GRD PLAISIR. ps : je devai aller cette année en inde mais les circonstances on fai ke jai pa pu . TFOU !!!!! a biento sara
Répondre
L
pardon c toujours lahcene d'algerie j'ai oublié de te feliciter pour ce merveilleux site que je decouvre quoique tardivement mieux vaut tard que jamais merci encore
Répondre
S

Merci beaucoup Lahcene!
ça me fait toujours plaisir de reçevoir des compliments pour mon "travail".
bonne continuation
à bientôt

Saraswati

L
salut mon nom est "LAHCENE" je suis algerien et mon desir a tavers les traductions de chansons est d'apprendre davantage le hindi d'ailleurs pour mon amour a la culture de ce pays continent j'ai prénommé ma fille "HIND" qui a quatorze ans aujourd'hui
Répondre